Friday, 8 September 2017

Lazzat e Qurb Rahi Shokh e Wisaal Rahi


Lazzat e Qurb Rahi Shokh e Wisaal Rahi
Tumhare Sath Jo Guzri ghari Kamaal Rahi
Raha Na Hosh e khudi Na Giraft Lafzon Par
Khamoshi Guftugu Main Mehv e Wajad o Haal Rahi
Tumhari Chah Mai Diwaan Bhi Agar Likh Don
Samajhna Baat Phir Bhi Maine Khaal Khaal Kahi
Nahi hargiz Mujhe gawara Tera Sar Kham Ho Kabhi
Pas e junoon Har Ek Dushmano Ki Chaal Rahi
Tumhara Hukam Ho Or radd Karon Mai Na Mumkin
Kabhi Bhi Aisi Nahi Hai Meri Majaal Rahi

About Author

Urdu Poetry
Urdu Poetry

Author & Editor

Has laoreet percipitur ad. Vide interesset in mei, no his legimus verterem. Et nostrum imperdiet nostrum imperdiet appellantur appellantur usu, mnesarchum referrentur id vim.

0 comments:

Post a Comment