Saturday, 7 October 2017

Romantic Poetry in Urdu for Husband

Here are the best and Romantic Shayari for the husband in Urdu by the most famous writers. Get some of the really u beautiful 4 lines romantic Shayari for the husband in Urdu which you will defiantly found amusing to send over to your husband and make him smile.




Kuch Rishte Uparwaala Banaata Hai,
Kuch Rishte Log Banaate Hain,
Par Wo, Log Bahut Khaas Hote Hai,
Jo Bina Rishte Ke Koi Rishta Nibhate Hai.


Kuch Chehre Dil Se Bhulaye Nahi Jaate,
Kuch Naam Dil Se Mitaye Nahi Jaate,
Mulaqat Ho Na Ho To Na Sahi Lekin Aye Yaar,
Pyaar Ke Chirag Kabhi Bhujaye Nahi Jaate.


Apne Dil Ki Sun, Afwahon Se Kaam Na Le,
Mujhe Yaad Rakh, Beshak Naam Na Le,
Tera Veham Hai Ki Main Bhuli Hoon Tujhe,
Meri Aisi Koi Saans Nahi, Jo Tera Naam Na Le.


Meri Zindagi Ke Raaz Mein Ek Raaz Tum Bhi Ho
Meri Bandagi Ki Aas Mein Ek Aas Tum Bhi Ho
Tum Kya Ho Mere, Kuchh Ho Ya Kuchh Bhi Nahi
Magar Meri Zindagi Ke Kash Mein Ek Kash Tum Bhi Ho


Es dil ka kaha mano ek kaam kar do..
Ek be-naam si mohabbat mere naam krdo..
Meri zaat par faqat itna ehsaan kar do..
Kisi din subah ko milo, or shaam kar do..!!


Bina Waade Bhi Tera Intezaar Hai,
Juda Hoke Bhi Tumse Pyaar Hai,
Gawahi Deti Hai Tere Chehre Ki Udhasi,
Milne Ko Mujhse Tu Bhi Bekrar Hai


Dooriya Hi Dilo Ko Nazdeek Laati Hai,
Dooriya Hi Ek Dujhe Ki Yaad Dilati Hai,
Door Hokar Bhi Koi Kareeb Hai Kitna,
Dooriya Hi Iss Baat Ka Ehsaas Dilati Hai.


Apni mohabbat lutao mein,
Bana ke pyar ka sama apko chaon mein,
Aap hi tu ho humare sab kuch
Aapki bahon mein aao or simat jao mein.


Tujhe Chahte Hai Be Inteha Pr Chahna Nahi Aata
Ye Kesi Mohabbat Hai Ki Hume Kehna Nhi Aata.
Zindagi Mein Aa Jao Hamari Zindagi Ban Ker,
Ke Tere Bin Humein Zinda Rehna Nahi Aata.


So thanks for reading all of above Romantic Poetry in Urdu for Husband. Please do comment below if you find any misuse in this post.

About Author

Urdu Poetry
Urdu Poetry

Author & Editor

Has laoreet percipitur ad. Vide interesset in mei, no his legimus verterem. Et nostrum imperdiet nostrum imperdiet appellantur appellantur usu, mnesarchum referrentur id vim.

0 comments:

Post a Comment