Friday, 22 September 2017

Meri Ankhon Meri yaadon Meri baton Mai Tum Ho Bas

Meri Ankhon Meri yaadon Meri baton Mai Tum Ho Bas
Mujhe Dunya Se Lena Kya Meri Dunya Tum Hi Ho Bas
Raza Meri Tum Mat Pocho Meri Kyun Baat Karte Ho
Mera Jeena Mera Marna Meri To Zaat Tum Ho Bas
Mere Lafzon Ne Mujh Ko Hi Hazaron Dard De Daale
Meri Khushiyun Ka Mehvar Tum Mere Adaab Tum Ho Bas
Mai Khud Se Door Hon Kitni Khud Hi Se Bhagti Kyun Hon
Kahin Jana Nahi Mujh Ko Meri Manzil Tum Hi Ho Bas
Agar Tujhko gawara Ho To Mujhse Door Mat Jana
Mere Sare Sawalon Ke jawabon Mai Tum Hi Ho Bas
Qasam Us Zaat Ki Mujh Ko Kabhi Bhoolongi Na Tujhko
Mai Zinda Hon Yahan Jab Tak Waja Jeene Ki Tum Ho Bas
Meri Ankhon Meri yaadon Meri baton Mai Tum Ho Bas
Mujhe Dunya Se Lena Kya Meri Dunya Tum Hi Ho Bas

About Author

Urdu Poetry
Urdu Poetry

Author & Editor

Has laoreet percipitur ad. Vide interesset in mei, no his legimus verterem. Et nostrum imperdiet nostrum imperdiet appellantur appellantur usu, mnesarchum referrentur id vim.

0 comments:

Post a Comment